12 Raat Shayari Quotes with Images 📸🖼️
Raat Shayari Quotes
1. sabab wo puchh rahe hain udas hone ka
mera mizaj nahin be-libas hone ka
naya bahana hai har pal udas hone ka
ye faeda hai tere ghar ke pas hone ka
mahakti raat ke lamho nazar rakho mujh par
bahana DhunD raha hun udas hone ka
(Rahat Indori Sad shayari in Hind)
सबब वो पूछ रहे हैं उदास होने का
मेरा मिज़ाज नहीं बे-लिबास होने का
नया बहाना है हर पल उदास होने का
ये फ़ायदा है तेरे घर के पास होने का
महकती रात के लम्हो नज़र रखो मुझ पर
बहाना ढूंढ रहा हूँ उदास होने का
(Rahat Indori Sad Shayari in Urdu)
سبب وو پوچھ رہے ہیں اداس ہونے کا
میرا مزاج نہیں بے-لباس ہونے کا
نیا بہانہ ہے ہر پل اداس ہونے کا
یہ فایدہ ہے تیرے گھر کے پاس ہونے کا
مہکتی رات کے لمحو نظر رکھو مجھ پر
بہانہ دھند رہا ہوں اداس ہونے کا


Tags: Sad Shayari | Ghazals | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Urdu | Nazar Shayari | Raat Shayari |

2. chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai
humko ab tak aashiqui ka wo zamaana yaad hai
(Sad Ghazal in Hindi)
चुपके चुपके रात दिन आँसू बहाना याद है
हमको अब तक आशिकी का वो ज़माना याद है
(Sad Ghazal in Urdu)
چپکے چپکے رات دن آنسو بہانہ یاد ہے
ہمکو اب تک عاشقی کا وو زمانہ یاد ہے


Tags: Sad Shayari | Love Shayari | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Yaad Shayari | Urdu | Raat Shayari |
3. vo koi dost tha pichle dinon ka
jo pichhli raat se yaad aa raha hai


Tags: Friendship Shayari | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Yaad Shayari | Urdu | Raat Shayari |
4. kal chaudhvin ki raat thi shab bhar raha charcha tera
kuchh ne kaha ye chand hai kuchh ne kaha chehra tera


Tags: Love Shayari | Tareef Shayari | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Urdu | Raat Shayari |

5. ilaaj apna karaate phir rahe ho jaane kis kis se
mohabbar kar ke dekho naa mohabbat kyun nahin karte


Tags: Love Shayari | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Urdu | Raat Shayari |
6. vaada kiya tha ayenge khwabon mein aaj raat
maarey khushi ke neend hi na aai tamam raat


Tags: Love Shayari | Flirt Shayari | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Khushi Shayari | Urdu | Raat Shayari |

7. bahut KHub-surat ho tum bahut KHub-surat ho tum
kabhi main jo kah dun mohabbat hai tum se
to mujh ko KHuda ra ghalat mat samajhna
ki meri zarurat ho tum bahut KHub-surat ho tum
hain phulon ki Dali pe banhen tumhaari
hain KHamosh jadu nigahen tumhaari
jo kanTe hun sab apne daman mein rakh lun
sajaun main kaliyon se rahen tumhaari
nazar se zamane ki KHud ko bachana
kisi aur se dekho dil mat lagana
ki meri amanat ho tum
bahut KHub-surat ho tum
hai chehra tumhaara ki din hai sunahra
hai chehra tumhaara ki din hai sunahra
aur is par ye kali ghaTaon ka pahra
gulabon se nazuk mahakta badan hai
ye lab hain tumhaare ki khilta chaman hai
bikhero jo zulfen to sharmae baadal
farishte bhi dekhen to ho jaen pagal
wo pakiza murat ho tum bahut KHub-surat ho tum
jo ban ke kali muskuraati hai aksar
shab hijr mein jo rulati hai aksar
jo lamhon hi lamhon mein duniya badal de
jo shair ko de jae pahlu ghazal ke
chhupana jo chahen chhupai na jae
bhulana jo chahen bhulai na jae
wo pahli mohabbat ho tum bahut KHub-surat ho tum


Tags: Love Shayari | Flirt Shayari | Alone Shayari | Tareef Shayari | Love Quotes in Hindi | Khuda Shayari | 2 Line Shayari | Dil Shayari | Urdu | Nazar Shayari | Raat Shayari | Khoobsurat Shayari |

8. Zindagi Bahut Khoobsurat Hai, Zindagi Se Pyar Karo,
Agar Ho Raat To, Subah Ka Intezaar Karo,
Wo Pal Bhi Aayega Jiska Tujhe Intezaar Hai,
Bas Us Khuda Par Bharosa Aur Waqt Par Aitbaar Karo
जिंदगी बहुत खूबसूरत है, जिंदगी से प्यार करो,
अगर हो रात तो, सुबह का इंतजार करो,
वो पल भी आएगा जिसका तुझे इंतेज़ार है,
बस उस खुदा पर भरोसा और वक्त पर ऐतवार करो।


Tags: Shayari on Life | Love Quotes in Hindi | Life Quotes in Hindi | Khuda Shayari | Waqt Shayari | 2 Line Shayari | Urdu | Raat Shayari | Khoobsurat Shayari |
9. farishte aasmanon se baraati ban ke aaenge
sitare raste mein nur ki chadar bichhaenge
KHushi se jhum kar har hur shahnai bajaegi
meri guDiya kisi din chand par shadi rachaegi


Tags: Shadi Shayari | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Khushi Shayari | Urdu | Raat Shayari |
10. guzarne hi na di vo raat maine
ghadi par rakh dia tha haath maine
(Waqt shayari in Hindi)
गुजरने ही न दी वो रात मैंने
घडी पर रख दिए था हाथ मैंने
(Waqt Shayari in Urdu)
گزرنے ہی نہ دی وو رات میں نے
غدی پر رکھ دیا تھا ہاتھ میں نے


Tags: Waqt Shayari | Love Shayari | Flirt Shayari | Love Quotes in Hindi | Urdu | Raat Shayari |

11. aaj ki raat yun thami si hai
aaj phir aapki kami si hai
- Gulzar


Tags: Love Shayari | Flirt Shayari | Alone Shayari | Raat Shayari | Kami Shayari | Shayari |
12. raat bhar sard hava chalti rahi
raat bhar humne alaao (bonfire) taapa
main ne maazi se kai khushk si shaakhen kateen
tumne bhi guzre hue lamhon ke patte tode
raat bhar jo bhi mila ugte badan par humkoo
kaat ke daal dia jalte alaao mein humne
raat bhar phukon se har lau (flame or desire) ko jagaye rakhha
aur do jismon ke indhan ko jalaye rakhha
raat bhar bujhte hue rishte ko taapa (warmed) ham ne
- Gulzar


Tags: Shayari | Sardi Shayari | Raat Shayari | Flirt Shayari | Aag Shayari | Urdu Shayari In English | Love Shayari | Shadi Shayari | Motivational Shayari |