8 Ghazals with Images 📸🖼️
Best Urdu Ghazals in Hindi and Urdu, written in English with pictures. From sad ghazals to ghazals on life and bewafai, here is a list of the most popular heartouching ghazals of all time.
Ghazal is a form of amatory poem or ode, originating from Arabic poetry. Brought by sufi mystics of Islamic sultanate, Ghazal is now a prominent form of poetry in Indian subcontinent and Turkey.
Also check out Shadi Shayari, Sad Shayari and Shayari on Life
To see all shayaris in Urdu and Hindi, Click Here
Ghazals Quotes
1. andar ka zahr chum liya dhul ke aa gae
kitne sharif log the sab khul ke aa gae
suraj se jang jitne nikle the bewaquf
sare sipahi mom ke the ghul ke aa gae
masjid mein dur dur koi dusra na tha
hum aaj apne aap se mil-jul ke aa gae
nindon se jang hoti rahegi tamam umr
aankhon mein band KHwab agar khul ke aa gae
suraj ne apni shakl bhi dekhi thi pahli bar
aaine ko maze bhi taqabul ke aa gae
anjaane sae phirne lage hain idhar udhar
mausam hamare shahr mein kabul ke aa gae


Tags: Shayari | Ghazals | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Sheher and Village Shayari | Urdu | Mausam Shayari |
2. main intizar mein hun tu koi sawal to kar
yaqin rakh main tujhe la-jawab kar dunga
hazar pardon mein KHud ko chhupa ke baiTh magar
tujhe kabhi na kabhi be-naqab kar dunga


Tags: Attitude Shayari | Ghazals | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Urdu |
3. bulati hai magar jaane ka nain
wo duniya hai udhar jaane ka nain
zamin rakhna paDe sar par to rakkho
chalo ho to Thahar jaane ka nain
hai duniya chhoDna manzur lekin
watan ko chhoD kar jaane ka nain
janaze hi janaze hain saDak par
abhi mahaul mar jaane ka nain
sitare noch kar le jaunga
main KHali hath ghar jaane ka nain
mere beTe kisi se ishq kar
magar had se guzar jaane ka nain
wo gardan napta hai nap le
magar zalim se Dar jaane ka nain
saDak par arthiyan hi arthiyan hain
abhi mahaul mar jaane ka nain
waba phaili hui hai har taraf
abhi mahaul mar jaane ka nain


Tags: Ghazals | Shayari | Attitude Shayari | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Urdu |
4. sabab wo puchh rahe hain udas hone ka
mera mizaj nahin be-libas hone ka
naya bahana hai har pal udas hone ka
ye faeda hai tere ghar ke pas hone ka
mahakti raat ke lamho nazar rakho mujh par
bahana DhunD raha hun udas hone ka
(Rahat Indori Sad shayari in Hind)
सबब वो पूछ रहे हैं उदास होने का
मेरा मिज़ाज नहीं बे-लिबास होने का
नया बहाना है हर पल उदास होने का
ये फ़ायदा है तेरे घर के पास होने का
महकती रात के लम्हो नज़र रखो मुझ पर
बहाना ढूंढ रहा हूँ उदास होने का
(Rahat Indori Sad Shayari in Urdu)
سبب وو پوچھ رہے ہیں اداس ہونے کا
میرا مزاج نہیں بے-لباس ہونے کا
نیا بہانہ ہے ہر پل اداس ہونے کا
یہ فایدہ ہے تیرے گھر کے پاس ہونے کا
مہکتی رات کے لمحو نظر رکھو مجھ پر
بہانہ دھند رہا ہوں اداس ہونے کا


Tags: Sad Shayari | Ghazals | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Urdu | Nazar Shayari | Raat Shayari |
5. aate aate mera naam sa reh gaya
us ke honthon pe kuch kaanpta reh gaya
wo mere saamne hi gaya aur main
raaste ki tarah dekhta reh gaya
jhut waale kahin se kahin badh gaye
aur main tha ke sach bolta reh gaya
aandhiyon ke irade to acchey na the
ye diya kaise jalta hua reh gaya


Tags: Love Shayari | Ghazals | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Urdu |
6. wo to KHush-bu hai, hawaon mein bikhar jaega
masala phul ka hai phul kidhar jaega
(Sad Love Shayari in Hindi)
वो तो खुश-बू है, हवाओं में बिखर जाएगा
मसला फूल का है फूल किधर जाएगा
(Sad Shayari in Urdu)
وو تو خوشبو ہے, ہواؤں میں بکھر جاےگا
مثلا پھول کا ہے پھول کدھر جاےگا


Tags: Ghazals | Sad Shayari | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Khushi Shayari | Urdu |

7. yeh zindagi sawaal thi, jawab mangne lagey
farishtey aa ke khwaab mein hisaab mangney lagey
idhar kia karam kisi par aur idhar jata dia?
namaaz padh kar aaye aur sharaab mangne lage?
tijaaraton ka rang ibadaton mein aa gaya
salaam pher tey hi hum sawaab mangne lage


Tags: Shayari on Life | Ghazals | Love Quotes in Hindi | Life Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Urdu |
8. If you are moving (Dilon mein tum apni)
with an eagerness in your heart, (Betaabiyan leke chal rahe ho)
then you are alive.. (Toh zinda ho tum)
if you’re moving (Nazar mein khwabon ki)
with the sparks of dreams in your eyes, (Bijliyaan leke chal rahe ho)
then you’re alive.. (Toh zinda ho tum)
learn to live freely (Hawa ke jhokon ke jaise)
like the gusts of wind, (Aazad rehna seekho)
Learn to flow in waves, (Tum ek dariya ke jaise)
like a river does.. (Lehron mein behna seekho)
Meet every moment (Har ek lamhe se tum milo)
with your arms open, (Khole apni baahein)
Every moment these eyes should (Har ek pal ek naya sama)
watch a new weather, (Dekhen yeh nigahaein)
If you’re moving with (Jo apni aankhon mein)
a bewilderment in your eyes (Hairaniyan leke chal rahe ho)
then you are alive, (Toh zinda ho tum)
If you are moving (Dilon mein tum apni)
with an eagerness in your heart, (Betaabiyan leke chal rahe ho)
then you are alive.. (Toh zinda ho tum)


Tags: Shayari on Life | Ghazals | Love Quotes in Hindi | Life Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Urdu | River | Nazar Shayari | Songs Shayari |