200+ Best हिंदी शायरी Hindi Shayari, Urdu Shayari in Hindi and Urdu/Hindi Shayaris in English Language. Shayaris with photos to use as status.
Shayari Categories:
Attitude Shayari
Dosti Friendship Shayari
Dushman Shayari
Urdu Shayari translated in English
Hindi Shayari
Sad Shayari
Beautiful Dil Love Romantic Shayari in Hindi
Beauty and Tareef Shayari
Flirt Shayari
2 Line status Shayari in Hindi
Funny Shayari
Alone Tanhai Shayari
Yaad Shayari
Dua Shayari Status
Khuda Shayari
Islamic Shayari
Ramzan Shayari
Eid Shayari
Inspirational Shayari
Shayari on Life
Motivational Shayari
Shayari on Waqt (Time)
Political Shayari
Shayari Quotes
1. dushmani laakh sahi khatm na kiije rishta
dil mile ya na mile haath milate rahiye
(Dushamani Shayari in Hindi)
दुश्मनी लाख सही ख़त्म न कीजे रिश्ता
दिल मिले या न मिले हाथ मिलाते रहिए


Tags: Attitude Shayari | Shayari | Love Quotes in Hindi | Dushman Shayari | 2 Line Shayari | Dil Shayari | Urdu |

2. dushmanon ne kya dushmani ki hai
doston ne bhi kya kami ki hai
दुश्मनों ने जो दुश्मनी की है
दोस्तों ने भी क्या कमी की है


Tags: Attitude Shayari | Alone Shayari | Shayari | Love Quotes in Hindi | Dushman Shayari | 2 Line Shayari | Urdu | Kami Shayari | Matlabi Insaan Shayari |
3. humne dekha hai zamaane ka badalna lekin
unke badle hue tevar nahin dekhe jaate
(Attitude Quote in Hindi)
हमने देखा है ज़माने का बदलना लेकिन
उनके बदले हुए तेवर नहीं देखे जाते


Tags: Attitude Shayari | Alone Shayari | Shayari | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Urdu |
4. apne hone ka kuch ehsas na hone se hua
khud se milna mera ik shakhs ke khone se hua
(Dard Bhari shayari in Hindi)
अपने होने का कुछ एहसास न होने से हुआ
खुद से मिलना मेरा इक शख्स के खोने से हुआ
(Dard Bhari shayari in Urdu)
اپنے ہونے کا کچھ احساس نہ ہونے سے ہوا
خود سے ملنا میرا اک شخص کے کھونے سے ہوا


Tags: Alone Shayari | Shayari | Sad Shayari | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Urdu |

5. apne saae se chaunk jaate hain
umr guzri hai is qadar tanha
- Gulzar


Tags: Alone Shayari | Shayari | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Urdu |
6. ab to unki yaad bhi aati nahin
kitni tanha hogayi tanhaiyan
(Tanhai shayari in Hindi)
अब तो उनकी याद भी आती नहीं
कितनी तनहा होगयी तन्हाईयाँ
(Tanhai shayari in Urdu)
اب تو انکی یاد بھی آتی نہیں
کتنی تنہا ہوگیی تنہائیاں


Tags: Alone Shayari | Shayari | Sad Shayari | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Yaad Shayari | Urdu |

7. ek mehfil mein kaee mehfilein hoti hain sharik
jis ko bhi pass se dekhoge akela hoga


Tags: Alone Shayari | Shayari | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Urdu | Mehfil Shayari |

8. ab is ghar ki abaadi mehmaano par hai
koi aa jaae to waqt guzar jaata hai


Tags: Alone Shayari | Shayari | Love Quotes in Hindi | Waqt Shayari | 2 Line Shayari | Urdu |
9. shahr mein kis se sukhan rakhiye kidhar ko chaliye
itni tanhai to ghar mein bhi hai ghar ko chaliye


Tags: Alone Shayari | Shayari | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Sheher and Village Shayari | Urdu |
10. tum se mile to khud se zyada
tumko akela paaya humne


Tags: Alone Shayari | Shayari | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Urdu |

11. wo nahin hai na sahi tark-e-tamanna na karo
dil akela hai ise aur akela na karo
(Loneliness shayari in Hindi)
वो नहीं है न सही तर्क-ए-तमन्ना न करो
दिल अकेला है इसे और अकेला न करो
(Akelapan shayari in Urdu)
وو نہیں ہے نہ سہی ترکے تمنّا نہ کرو
دل اکیلا ہے اسے اور اکیلا نہ کرو


Tags: Alone Shayari | Sad Shayari | Shayari | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Dil Shayari | Urdu |
12. udasiyan hain jo din mein to shab mein tanhai
basa ke dekh liya shahr-e-arzu main ne


Tags: Alone Shayari | Shayari | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Sheher and Village Shayari | Urdu |
13. apne chehre se jo zahir hai chupayen kaise
teri marzi ke mutabiq nazar aaen kaise
(Urdu Shayari in Hindi)
अपने चेहरे से जो ज़ाहिर है छुपाएँ कैसे
तेरी मर्ज़ी के मुताबिक़ नज़र आएँ कैसे
(Urdu Font)
اپنے چہرے سے جو ظاہر ہے چھپیں کیسے
تیری مرضی کے مطابق نظر أن کیسے


Tags: Sad Shayari | Shayari | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Urdu | Nazar Shayari |

14. roz taron ko numaish mein khalal padta hai
chand paagal hai andhere mein nikal padta hai


Tags: Shayari | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Urdu |
15. andar ka zahr chum liya dhul ke aa gae
kitne sharif log the sab khul ke aa gae
suraj se jang jitne nikle the bewaquf
sare sipahi mom ke the ghul ke aa gae
masjid mein dur dur koi dusra na tha
hum aaj apne aap se mil-jul ke aa gae
nindon se jang hoti rahegi tamam umr
aankhon mein band KHwab agar khul ke aa gae
suraj ne apni shakl bhi dekhi thi pahli bar
aaine ko maze bhi taqabul ke aa gae
anjaane sae phirne lage hain idhar udhar
mausam hamare shahr mein kabul ke aa gae


Tags: Shayari | Ghazals | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Sheher and Village Shayari | Urdu | Mausam Shayari |
16. bulati hai magar jaane ka nain
wo duniya hai udhar jaane ka nain
zamin rakhna paDe sar par to rakkho
chalo ho to Thahar jaane ka nain
hai duniya chhoDna manzur lekin
watan ko chhoD kar jaane ka nain
janaze hi janaze hain saDak par
abhi mahaul mar jaane ka nain
sitare noch kar le jaunga
main KHali hath ghar jaane ka nain
mere beTe kisi se ishq kar
magar had se guzar jaane ka nain
wo gardan napta hai nap le
magar zalim se Dar jaane ka nain
saDak par arthiyan hi arthiyan hain
abhi mahaul mar jaane ka nain
waba phaili hui hai har taraf
abhi mahaul mar jaane ka nain


Tags: Ghazals | Shayari | Attitude Shayari | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Urdu |

17. It is not incumbent that every person is your well wisher,
The wound of love are your keepsakes, do not show them.
(Urdu)
Ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho,
Pyaar ke zakhm amanat hain, dikhaya na karo


Tags: Sad Love | Moving On | Urdu Shayari in English | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Urdu | Wounds |
18. Religion does not teach us to have enmity,
We belong to India, Our India
(Urdu)
MazHab nahin sikhaata, Aapas mein Bayr rakhna
Hindi hain hum watan hain, Hindostaan


Tags: Political | Urdu Shayari in English | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Urdu | Friendship Shayari |
19. Although a small argument ended decades of friendship,
But at least some people were identified for who they are.
(Urdu)
Go zara si baat par barson ke yaarane gaye,
Lekin itna to hua,
Kuch log pehchaane gaye


Tags: Arguments | Urdu Shayari in English | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Urdu |

20. The limits of love are very weird,
Neither was I kept as hostage, nor did I run away
(Urdu)
Bohot ajeeb hain ye bandishen mohabbat ki,
Na usne qayd mein rakhha, na hum faraar hue


Tags: Love | Love Shayari | Urdu Shayari in English | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Urdu |
21. As I wrote your name at the end of the shore,
From that day I had a grudge against the wind for life
(Urdu)
ik naam kya likha tera sahil ke ret par
phir umr bhar hava se meri dushmani rahi


Tags: Fight | Unconditional Love | Names | Shore | Grudge | Wind | Love Shayari | Urdu Shayari in English | Love Quotes in Hindi | Dushman Shayari | 2 Line Shayari | Urdu |
22. Come back to break my heart, even if you are bitter
Come again, to leave me, Come again
Urdu:
ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chhoD ke jaane ke liye aa


Tags: Shayari | Poetry | Leave | Urdu Shayari in English | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Dil Shayari | Urdu |

23. Let me drink while sitting inside a Mosque
Or tell me a place where God is not present
(Urdu)
zahid sharab pine de masjid mein baiTh kar
ya wo jagah bata de jahan par KHuda na ho
(Hindi)
जाहिद शराब पीने दे मस्जिद में बैठ कर ,
या वो जगह बतादे जहाँ पर ख़ुदा नहीं


Tags: Urdu Shayari in English | Islamic Shayari | Shayari on Life | Shayari | Alone Shayari | Khuda Shayari | 2 Line Shayari | Urdu |
24. mosque is the house of God not a place to drink
go inside the heart of a disbeliever, there is no God there
(Urdu)
masjid khuda ka ghar hai piine ki jagah nahin
kafir ke dil mein jaa, wahan par khuda nahin
(Hindi)
मस्जिद ख़ुदा का घर है, पीने की जगह नहीं ,
काफिर के दिल में जा वहाँ ख़ुदा नहीं .


Tags: Urdu Shayari in English | Funny Shayari | Islamic Shayari | Shayari on Life | Shayari | Khuda Shayari | 2 Line Shayari | Dil Shayari | House | Urdu |
25. sarhadon par bohot tanaav hai kya
kuch pata karo - chunaav hai kya
सरहदों पर बहुत तनाव है क्या
कुछ पता करो चुनाव है क्या


Tags: Political Shayari | Shayari on Life | Shayari | 2 Line Shayari | Urdu |

26. kaisi hai ye zimmedaari saeen ki
janta jaan gayi makkaaree saeen ki
desh ko lootne vaale loot ke le jaen
maan gaye ham chaukhidari saeen ki
कैसी है ये ज़िम्मेदारी सांई की
जनता जान गयी मक्कारी सांई की
देश को लूटने वाले लूट के ले जाएं
मान गये हम चौकीदारी सांई की


Tags: Political Shayari | Shayari | 2 Line Shayari | Urdu |
27. ham se pahale bhee musafir kai guzre honge
kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
हम से पहले भी मुसाफिर कई गुज़रे होंगे
कम से कम राह के पत्थर तो हटाते जाते


Tags: Shayari on Life | Shayari | Alone Shayari | Sad Shayari | Friendship Shayari | 2 Line Shayari | Urdu |
28. meri khwahish hai ki aangan mein na deewar uthey
mere bhai mere hisse ki zameen tu rakh le


Tags: Shayari | Shayari on Life | Alone Shayari | Political Shayari | Attitude Shayari | 2 Line Shayari | Urdu |

29. wo chaahta tha ki kaasa khareed le mera
main uske Taj ki qeemat laga ke laut aya
*kaasa = Faqeer ka bheek maangne ka katora
वो चाहता था कि कासा खरीद ले मेरा
मैं उसके ताज की क़ीमत लगा के लौट आया
وہ چاہتا تھا کہ کاسہ خرید لے میرا
میں اس کے تاج کیقیمت لگا کےلوٹ آیا


Tags: Political Shayari | Shayari on Life | Attitude Shayari | Motivational Shayari | Shayari | 2 Line Shayari | Urdu |
30. (English)
people are disabled not physically but mentally
they follow the path where the leaders tell them to walk
(Hinglish)
ye log paaon se nahin zehen se apaahij hain
udhar chalenge jidhar rehnuma chalaate hain
(Hindi)
ये लोग पांव नहीं जे़हन से अपाहिज हैं
उधर चलेंगे जिधर रहनुमा चलाता है
(Urdu)
یہ لوگ پاؤں سے نہیں ذہن سے اپاہج ہیں
ادھر چلیں گےجدھر رہنما چلاتےہیں


Tags: Political Shayari | Urdu Shayari in English | Shayari on Life | Shayari | 2 Line Shayari | Urdu |
31. jo aaj sahib-e-masnad hain kal nahin honge
kiraayedaar hain zaati makaan thodi hai
sab hi ka khoon shaamil hai yahan ki mitti mein
kisi ke baap ka hindostan nahin hai
हमारे मुँह से जो निकले वही सदाक़त है
हमारे मुँह में तुम्हारी ज़ुबान थोड़ी है
जो आज साहिबे मसनद हैं कल नहीं होंगे
किराएदार हैं ज़ाती मकान थोड़ी है
सभी का ख़ून है शामिल यहां की मिट्टी में
किसी के बाप का हिंदोस्तान थोडी है


Tags: Political Shayari | Shayari | Motivational Shayari | 2 Line Shayari | Urdu |

32. teri katthayi aankhon mein hain jantar mantar sab
chaaku waaku churiyan wuriyan khanjar wanjar sab
jis din se mujhse roothi hai roothey roothey hain
takiya wakiya chaadar waadar bistar wistar sab
तेरी कत्थई आँखों में हैं जंतर मंतर सब
चाक़ू वाक़ू छुरियां वुरियां ख़ंजर वंजर सब
जिस दिन से मुझसे रूढी है रूढे रूढे हैं
तकिया वकीया चादर वादर सब


Tags: Love Shayari | Flirt Shayari | Shadi Shayari | Funny Shayari | Tareef Shayari | Sad Shayari | Alone Shayari | Shayari | 2 Line Shayari | Urdu |
33. bulandi der tak kis shakhs ke hisse mein rehti hai
bohot oonchi imaarat har ghadi khatre mein rehti hai
बुलंदी देर तक किस शख़्स के हिस्से में रहती है
बहुत ऊँची इमारत हर घड़ी खतरे में रहती है


Tags: Political Shayari | Shayari | Shayari on Life | Inspirational Shayari | 2 Line Shayari | Urdu |
34. naye kirdar aate ja rahe hain
magar naatak purana chal raha hai
नए किरदार आते जा रहे हैं
मगर नाटक पुराना चल रहा है


Tags: Political Shayari | Shayari | Inspirational Shayari | 2 Line Shayari | Urdu |

35. tabaah kar dia ahbaab ko siasat ne
magar makaan se jhanda nahin utarta hai
तबाह कर दिया अहबाब को सियासत ने
मगर मकान से झंडा नहीं उतरता है


Tags: Political Shayari | Shayari | Shayari on Life | 2 Line Shayari | Urdu |
36. dhuan jo kuch gharon se uth raha hai
na puure shahar par chaaye to kehna
(Sad Political Shayari in Hindi)
धुआं जो कुछ घरों से उठ रहा है
न पूरे शहर पर छाए तो कहना
(Political Shayari in Urdu)
دھواں جو کچھ گھروں سے اٹھ رہا ہے
نہ پورے شہر پر چاہے تو کہنا


Tags: Political Shayari | Shayari | Sad Shayari | 2 Line Shayari | Sheher and Village Shayari | Urdu |
37. dushman na kare dost ne wo kaam kia hai
umar bhar ka gham hamein inaam dia hai
(Sad dosti song in Hindi)
दुश्मन न करे दोस्त ने वो काम किया है
उम्र भर का ग़म हमें इनाम दिए है
(Sad dosting song in Urdu)
دشمن نہ کرے دوست نے وو کام کیا ہے
امر بھر کا غم ہمیں انعام دیا ہے


Tags: Dushman Shayari | Sad Shayari | Shayari | Urdu |

38. English Translation:
It is exceptional to be liked in first glance
It is exceptional to scatter in your own soul
It is not exceptional to achieve success
It is exceptional to stay successful
(Urdu Transliteration)
nazar nazar meñ utarnā kamāl hotā hai
nafas nafas meñ bikharnā kamāl hotā hai
bulandiyoñ pe pahuñchnā koī kamāl nahīñ
bulandiyoñ pe Thaharnā kamāl hotā hai


Tags: Urdu Shayari In English | Shayari | Shayari on Life | Waqt Shayari | Attitude Shayari | Motivational Shayari | Inspirational Shayari | Success | Successful | Ego | Humility | Nazar Shayari |
39. aane wala pal jane wala hai
ho sake toh isme, zindagi bita do,
pal jo yeh jaane wala hai
- Gulzar


Tags: 2 Line Shayari | Love Shayari | Waqt Shayari | Shayari |
40. aaina dekh kar Tasalli hui,
hamko is ghar mein jaanta hai koi.
- Gulzar


Tags: Sad Shayari | Shayari on Life | Alone Shayari | Shayari |

41. milta toh bahut kuch hai iss zindagi mein
bas hum ginti usi ki karte hain
jo haasil na ho saka
- Gulzar


Tags: Shayari on Life | Sad Shayari | Jawani Shayari | Inspirational Shayari | Yaad Shayari | Shayari |
42. umr kehti hai, ab sanjeeda hua jaaye,
dil kehta hai, kuch nadaaniyaan aur sahi
- Gulzar


Tags: Umar Shayari | Dil Shayari | Shayari | Motivational Shayari |
43. aisi uljhi nazar unse hatt ti nahi
daant se reshmi dor katt ti nahi
umr kab ki baras ke safaid ho gayi
kaari badari jawani ki chatt ti nahi
- Gulzar


Tags: Nazar Shayari | Jawani Shayari | Umar Shayari | Love Shayari | Songs Shayari | Shayari |

44. takleef khud hi kam ho gayi
jab apno se umeed kam ho gayi
- Gulzar


Tags: Takleef Shayari | Family Shayari | Shayari on Life | Umeed Shayari | Shayari | Kami Shayari |
45. manzilon se gumrah bhi kardete hain kuch log
har kisi se raasta poochna acha nahin hota
- Gulzar


Tags: Inspirational Shayari | Shayari on Life | Manzil Shayari | Rasta Shayari | Shayari | Dushman Shayari |
46. aaj ki raat yun thami si hai
aaj phir aapki kami si hai
- Gulzar


Tags: Love Shayari | Flirt Shayari | Alone Shayari | Raat Shayari | Kami Shayari | Shayari |

47. dil hain to phir dard hoga
dard hai toh dil bhi hoga
mausam guzarte rehte hain
- Gulzar


Tags: Dil Shayari | Sad Shayari | Mausam Shayari | Shayari | Takleef Shayari |
48. ae zindagi, gale laga le
hum ne bhi tere har ik gham ko
gale se lagaya hai na
- Gulzar


Tags: Shayari on Life | Sad Shayari | Shayari |
49. थोड़ा सा रफू करके देखिए ना
फिर से नई सी लगेगी
जिंदगी ही तो है
thoda sa rafoo karke dekhiye na
phir se nayi si lagegi
zindagi hi toh hai
- Gulzar


Tags: Shayari on Life | Motivational Shayari | Inspirational Shayari | Shayari |

50. tere bina zindagi se koi shiqwa toh nahi.
tere bina zindagi bhi lekin, Zindagi toh nahi
- Gulzar


Tags: Shayari on Life | Shikayat Shayari | Sad Shayari | Shayari |
51. thoda hai thode ki zarurat hai
zindagi phir bhi yahaan Khoobsurat hai
थोड़ा है थोड़े की ज़रूरत है
ज़िंदगी फिर भी अहा ख़ूबसूरत है
थोड़ा है थोड़े की ज़रूरत है
ज़रूरत है
जिस दिन पैसा होगा
वो दिन कैसा होगा
उस दिन पहिये घूमेंगे
और क़िस्मत के लब चूमेंगे
बोलो ऐसा होगा
थोड़ा है थोड़े की ज़रूरत है
- Gulzar


Tags: Kami Shayari | Shayari on Life | Khoobsurat Shayari | Shayari |
52. wo bulandi kis kaam ki janaab
insaan chadey aur insaniyat utar jaaye
- Gulzar


Tags: Attitude Shayari | Bulandi Shayari | Insaan Shayari | Matlabi Insaan Shayari | Shayari |

53. इतना क्यों सिखाई जा रही हो जिंदगी
हमें कौन से सदिया गुजारनी है यहां
itna kyun sikhai ja rahi hai zindagi
humen kaun sa sadiyan guzaarni hain yahan
- Gulzar


Tags: Shayari on Life | Inspirational Shayari | Motivational Shayari | Shayari |
54. bohot chaaley hain uske payron mein
kambhakht usoolon par chala hoga
बहुत छाले हैं उसके पैरों में
कमबख्त उसूलो पर चल होगा
- Gulzar


Tags: Shayari on Life | Mushkil Shayari | Takleef Shayari | Sad Shayari | Shayari |
55. koi khamosh zakhm lagti hai
zindagi ek nazm lagti hai
bazm-e-yaaran men rahta huun tanha
aur tanhai bazm lagti hai
English Translation:
Looks like it is some silent pain
This life looks like a poem
I remain lonely in a gathering of friends
and loneliness looks like a gathering
- Gulzar


Tags: Sad Shayari | Alone Shayari | Friendship Shayari | Mehfil Shayari | Takleef Shayari | Shayari | Urdu Shayari In English |

56. raat bhar sard hava chalti rahi
raat bhar humne alaao (bonfire) taapa
main ne maazi se kai khushk si shaakhen kateen
tumne bhi guzre hue lamhon ke patte tode
raat bhar jo bhi mila ugte badan par humkoo
kaat ke daal dia jalte alaao mein humne
raat bhar phukon se har lau (flame or desire) ko jagaye rakhha
aur do jismon ke indhan ko jalaye rakhha
raat bhar bujhte hue rishte ko taapa (warmed) ham ne
- Gulzar


Tags: Shayari | Sardi Shayari | Raat Shayari | Flirt Shayari | Aag Shayari | Urdu Shayari In English | Love Shayari | Shadi Shayari | Motivational Shayari |
57. raakh ko bhi kured kar dekho
abhi jalta ho koi pal shayad
English Translation:
Dig in the ashes and see
some flames may still be burning
- Gulzar


Tags: Yaad Shayari | Umeed Shayari | Shayari on Life | Shayari |
58. manzil milegi bhatak kar hi sahi
gumrah to wo hain,
jo ghar se nikle hi nahin


Tags: Shayari | Manzil Shayari | Motivational Shayari |
