(English) speak in the same tone as the world this is an are ...
Home > Quotes > (English) speak in the same tone as the world this is an area where
Political Shayari Quotes
1. (English)
speak in the same tone as the world
this is an area where deaf people live - speak loudly
(Urdu)
jo taur hai duniya ka usi taur se bolo
bahron ka ilaqa hai zara zor se bolo
(Hindi)
जो तौर है दुनिया का उसी तौर से बोलो
बहरों का इलाका है ज़रा ज़ोर से बोलो


Tags: Political Shayari | Urdu Shayari in English | 2 Line Shayari | Urdu | Deaf | Tone of Voice |
Explore More Quotes
2. tufano se ankh milao, sailaabon par waar karo
phoolon ki dukaane kholo, khushbu ka vyapaar karo
ishq khata hai to yeh khata ek baar nahin sau bar karo


Tags: Shayari on Life | Political Shayari | Attitude Shayari | Love Quotes in Hindi | Life Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Khushi Shayari | Urdu |
3. aaj hum dono ko fursat hai chalo ishq karein
ishq dono ki zarurat hai chalo ishq karein
aap hindu main musalman ye isaayi wo sikh
yaar choro yeh siasat hai chalo ishq karien


Tags: Political Shayari | Love Shayari | Love Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Urdu |
4. dilon mein aag labon par gulab rakhte hain
sab apney chehron pe dohri naqab rakhtey hain
humein chirag samajh kar bhula na paaogey
hum apnay ghar mein kayi aftab rakhte hain
yeh maikada hai wo masjid hai wo hai butkhana
kahin bhi jao farishtey hisaab rakhtey hain


Tags: Shayari on Life | Attitude Shayari | Political Shayari | Islamic Shayari | Love Quotes in Hindi | Life Quotes in Hindi | 2 Line Shayari | Urdu | Aag Shayari |
5. Har aadmi mein hote hai das bees aadmi,
jisko bhi dekhna ho,kaii baar dekhna


Tags: Shayari on Life | Love Quotes in Hindi | Life Quotes in Hindi | Political Shayari | 2 Line Shayari | Urdu |
6. jinko hum chuntey hain wahi humko dhunntey hain
biwi ho ya neta donon kahan sunte hain
जिनको हम चुनते हैं, वो ही हमें धुनते हैं,
चाहे बीवी हो या नेता, दोनों कहाँ सुनते हैं!!


Tags: Funny Shayari | Shadi Shayari | Political Shayari | Love Quotes in Hindi | Quotes that will make you cry | 2 Line Shayari | Urdu |

7. sarhadon par bohot tanaav hai kya
kuch pata karo - chunaav hai kya
सरहदों पर बहुत तनाव है क्या
कुछ पता करो चुनाव है क्या


Tags: Political Shayari | Shayari on Life | Shayari | 2 Line Shayari | Urdu |
8. kaisi hai ye zimmedaari saeen ki
janta jaan gayi makkaaree saeen ki
desh ko lootne vaale loot ke le jaen
maan gaye ham chaukhidari saeen ki
कैसी है ये ज़िम्मेदारी सांई की
जनता जान गयी मक्कारी सांई की
देश को लूटने वाले लूट के ले जाएं
मान गये हम चौकीदारी सांई की


Tags: Political Shayari | Shayari | 2 Line Shayari | Urdu |
9. (English)
speak in the same tone as the world
this is an area where deaf people live - speak loudly
(Urdu)
jo taur hai duniya ka usi taur se bolo
bahron ka ilaqa hai zara zor se bolo
(Hindi)
जो तौर है दुनिया का उसी तौर से बोलो
बहरों का इलाका है ज़रा ज़ोर से बोलो


Tags: Political Shayari | Urdu Shayari in English | 2 Line Shayari | Urdu | Deaf | Tone of Voice |
10. ek chingari nazar aayi thi basti me use
wo alag hat gaya aandhi ko ishara karke
एक चिंगारी नज़र आयी थी बस्ती में उसे
वो अलग हट गया एक चिंगारी नज़र आयी थी बस्ती में उसे
वो अलग हट गया आंधी को इशारा करके को इशारा करके


Tags: Political Shayari | 2 Line Shayari | Urdu | Nazar Shayari |
11. meri khwahish hai ki aangan mein na deewar uthey
mere bhai mere hisse ki zameen tu rakh le


Tags: Shayari | Shayari on Life | Alone Shayari | Political Shayari | Attitude Shayari | 2 Line Shayari | Urdu |
12. wo chaahta tha ki kaasa khareed le mera
main uske Taj ki qeemat laga ke laut aya
*kaasa = Faqeer ka bheek maangne ka katora
वो चाहता था कि कासा खरीद ले मेरा
मैं उसके ताज की क़ीमत लगा के लौट आया
وہ چاہتا تھا کہ کاسہ خرید لے میرا
میں اس کے تاج کیقیمت لگا کےلوٹ آیا


Tags: Political Shayari | Shayari on Life | Attitude Shayari | Motivational Shayari | Shayari | 2 Line Shayari | Urdu |
13. (English)
people are disabled not physically but mentally
they follow the path where the leaders tell them to walk
(Hinglish)
ye log paaon se nahin zehen se apaahij hain
udhar chalenge jidhar rehnuma chalaate hain
(Hindi)
ये लोग पांव नहीं जे़हन से अपाहिज हैं
उधर चलेंगे जिधर रहनुमा चलाता है
(Urdu)
یہ لوگ پاؤں سے نہیں ذہن سے اپاہج ہیں
ادھر چلیں گےجدھر رہنما چلاتےہیں


Tags: Political Shayari | Urdu Shayari in English | Shayari on Life | Shayari | 2 Line Shayari | Urdu |
14. jo aaj sahib-e-masnad hain kal nahin honge
kiraayedaar hain zaati makaan thodi hai
sab hi ka khoon shaamil hai yahan ki mitti mein
kisi ke baap ka hindostan nahin hai
हमारे मुँह से जो निकले वही सदाक़त है
हमारे मुँह में तुम्हारी ज़ुबान थोड़ी है
जो आज साहिबे मसनद हैं कल नहीं होंगे
किराएदार हैं ज़ाती मकान थोड़ी है
सभी का ख़ून है शामिल यहां की मिट्टी में
किसी के बाप का हिंदोस्तान थोडी है


Tags: Political Shayari | Shayari | Motivational Shayari | 2 Line Shayari | Urdu |
15. bulandi der tak kis shakhs ke hisse mein rehti hai
bohot oonchi imaarat har ghadi khatre mein rehti hai
बुलंदी देर तक किस शख़्स के हिस्से में रहती है
बहुत ऊँची इमारत हर घड़ी खतरे में रहती है


Tags: Political Shayari | Shayari | Shayari on Life | Inspirational Shayari | 2 Line Shayari | Urdu |
16. naye kirdar aate ja rahe hain
magar naatak purana chal raha hai
नए किरदार आते जा रहे हैं
मगर नाटक पुराना चल रहा है


Tags: Political Shayari | Shayari | Inspirational Shayari | 2 Line Shayari | Urdu |
17. tabaah kar dia ahbaab ko siasat ne
magar makaan se jhanda nahin utarta hai
तबाह कर दिया अहबाब को सियासत ने
मगर मकान से झंडा नहीं उतरता है


Tags: Political Shayari | Shayari | Shayari on Life | 2 Line Shayari | Urdu |
18. dhuan jo kuch gharon se uth raha hai
na puure shahar par chaaye to kehna
(Sad Political Shayari in Hindi)
धुआं जो कुछ घरों से उठ रहा है
न पूरे शहर पर छाए तो कहना
(Political Shayari in Urdu)
دھواں جو کچھ گھروں سے اٹھ رہا ہے
نہ پورے شہر پر چاہے تو کہنا


Tags: Political Shayari | Shayari | Sad Shayari | 2 Line Shayari | Sheher and Village Shayari | Urdu |
19. jo dost hain vo maangte hain sulh ki dua
dushman ye chaahte hain ki aapas mein jang ho
*sulh = Peace
(Dushmani status in Hindi)
जो दोस्त हैं वो मांगते हैं सुलह की दुआ
दुश्मन ये चाहते हैं कि आपस में जंग हो
(Dushmani aur dosti shayari - Urdu)
جو دوست ہیں وو مانگتے ہیں صلح کی دوا
دشمن یہ چاہتے ہیں کی آپس میں جنگ ہو


Tags: Dushman Shayari | Political Shayari | Dua Status | Shayari on Life | Urdu |
20. dushman bhi mere mureed hain shayad
waqt bey waqt mera naam liya karte hain
meri gali se guzarte hain chupa ke khanjar
roobaroo hone par salaam kia karte hain
दुश्मन भी मेरे मुरीद है शायद
वक़्त बे वक़्त मेरा नाम लिया करते है
मेरे गली से गुजरते है छुपा के खन्जर
रू-ब-रू होने पर सलाम किया करते है


Tags: Dushman Shayari | Waqt Shayari | Shayari on Life | Sad Shayari | Political Shayari |
21. roz aate hain baadal abr rehmat lekar
mere sheher ke aamaal usey barasne nahin dete


Tags: Barish Shayari | Sheher and Village Shayari | Umeed Shayari | Khuda Shayari | 2 Line Shayari | Badal Shayari | Sardi Shayari | Mushkil Shayari | Political Shayari | Shayari | Mausam Shayari |